Dil-e-Wehshi Ko Ab Aisi Saza Di Jaye
Jab Bhi Yeh Boley to Awaaz Daba Di Jaye,
La Ta'aluq Se Jab Rehnay Lagein Ghar K Makeen
Phir Yeh Behtar Hai K Ghar Mein Deewar Utha Di Jaye,
Jab Kabhi Dost Tumhein Khud Se Be'zaar Lagein
Aisey Har Dost Ko Na Milney Ki Saza Di Jaye,
Jis Se Dar Ho Kabhi Aashian K Jalney Ka
Aisi Har Shamma Sar-e-Sham Bhuja Di Jaye,
Koocha-e-Yar Mein Jab Barhney Lagey Auron Ka Hajoom
Kyon Na Us Yar Se Phir Jan Chura Li Jaye,
Yad Jab Koi Karey Apney Lamha-e- Fursat Mein Tumhein
Hum Bhi Farigh Nhi Yeh Baat Jata Di Jaye.

No comments:
Post a Comment