Na jane kin adaaon se lubhaa liya geya mujhe
Qateel mere samney churaa liya geya mujhe
Kabhi jo un ke jashn mein seyaahiyan bikhar gayin
To roshni ke vaastey jalaa liya geya mujhe
barah-e-raast raabta na mujhse tha qabool unhe
Likhaa ke khat raqeeb se bulaa liya geya mujhe
Jab un ke deed ke liye qitaar mein kharra tha mein
Qitaar se na jaane kyun hattaa liye geya mujhe
Mein rondney ki cheez tha kisi ke paon se magar
Kabhi kabhi to zulff mein sajaa liya geya mujhe
Sawaal tha ke wafaa hai kya, jawab tha ke zindagi
Qateel pyar se galey laga liya geya mujhe.

Heart Touching Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry,
Sad Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,
No comments:
Post a Comment