Pages

Friday, 20 May 2016

Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise...

Har nafas dard k saanche me dhala ho jaise... 
Zeestt na-karda gunaaho'n ki saza ho jaise... 

Le gyii yun mujhe khwaabo'n k jazeero'n ki taraf... 
Nikhat-e-gul tere aanchal ki hawa ho jaise... 

Zulmat-e-shaam-e-alam mujhse gurezaa'n hai abhii... 
Ek sitaara meri palko'n me chhipa ho jaise... 

Teri zulfe'n bhi pareshaa'n hain mere dil ki tarah... 
Tu bhi kuchh der mere sath raha ho jaise... 

Main tere saaye se bach-bach k chala hun aksar... 
Meri manzil,, teri manzil se juda ho jaise... 

Phool maango to ataa krte hain zakhmo'n k kanwal... 
Ab yehii shewa-e-arbaab-e-wafa ho jaise... 

Chaandnii apne taqaddus pe hai naaza'n itnii... 
Maryam-e-shab ki siyaah-posh ridaa ho jaise... 

Aaj phir unse mulaqaat hui hai MOHSIN... 
Aaj phir dil pe koi zakhm laga ho jaise....!!

No comments:

Post a Comment