Zara Yaad Kar
Mere Humnafas
Mera dil jo tum pe nisar tha.
Wo dara dara sa jo piyar tha
Tere shokh qadmo ki dhool thi
Tera dil bhi beqarar tha
Zara yaad kar
Mere Humnafas.
Tere jaisa mera bhi Haal tha na Sakoon tha na Qarar tha
Yahi umer thi mere hum nasheen keh kisi se mujh ko bhi Pyar tha.
Mein samajh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarak
Isi gham ka tu bhi aseer hai isi dukh ka mein bhi Shikar tha.
Faqat aik dhun thi k Raat Din isi khawab zaad mein gum rahain
Woh Sarwar aisa Sarwar tha woh Khumar aisa Khumar tha.
Kabhi lamha bhar ki bhi Guftagoo meri is ke sath na ho saki
Mujhe fursatein nahi mil sakein woh hawa k rut pay sawar tha.
Hum ajeeb tarz ke log the k hamare aur bhi rog the
Mein khazan mein is ka tha muntazar ise Intezar Bahar tha.
Ese parh k tum na samajh sake k meri kitab k roop mein
Koi qarz tha kayi saal ka kayi rutjagon ka udhar tha.
No comments:
Post a Comment